Apne Business ke liye customer kaise badhaye
Pure world me sabse jyda competition retail (khudra sale) me hai.Aur jitna jyda competition hota hai uska profit seller’s ko utna kam milta hai. Isliye inse bachne aur profit kaise ho isko dhayan me rakhte huye bahut se reteil guru,sellers iska upay dhunde hai aaiye jante hai wo kya tricks hai.
1-Hamesha Imandar Rahe:-
Aapko apne shop ke parti, apne grahak ke parti aur apne employee ke parti imandar hone ki jarurt hai.Agar aap imandar rahnge to khul kar kaam kar sakte hai.
Aapko imandari sabse pahle un chijo me dekhne ki jarurat hai,jo aache se chal rahi hai.Iske baad aap un chijo ko dekhe jo apke business ke liye problem create kar rahi hai.Iske baad apko apne shop ke advertise par bhi dhayan dene ki jarurat hai.Iske baad waisi chijo ka list banaye jo grahak ko jyda pasand aati ho aur fir un chijo ka list banaye jo unhe napasand hai.
Aise karne se apke pass ek data bank ban jayga.jiske baad aap apne shop ke liye jyda customer friendly bana sakte hai.
2.Employee-customer Relationship:-
Hamesha apne customer aur employee ke sath aache sambandh bana kar rakhe.kyuki employee apke shop ke brand Ambassador hai.kyuki har customer ko aap khud hi deal nhi kar sakte hai.Agar employee apne 100% denge to koi v customer dusri aur jaynge nhi.
Iske baad number aata hai customer ka.customer king hota hai.kyuki unhe options ki puri Aajadi hai.isliye ayah hamesha dhayan rakhe ki kbhi customer naraj na ho.
Agar aap ayah karne me safal ho gye tb aapko customers ki kbhi kami nhi hogi.apka business aage badhta hi jayega.
3.Hamesha Aacha Karne Ki soche:-
Dusre shop owner se kbhi ayah sawal nhi kare ki unka business kaisa chal raha hai.agar wo kahega ki aacha chal raha hai to aap mayush ho jaynge,agar wo kahenge ki aacha nhi chal raha hai to tb aapko khushi hogi.
Agar aap aage badhne ko sochnge tbhi us raste par chalnge,hamesh sikhne ke aur dhayn de, kbhi ayah nhi soche ki mujhe sabkch malum hai.
4.Internet Ka Prayog:-
Agar apka koi shop hai to aap use social site ke through bhi sale kar sakte hai. Isse apko customer ke pasand napasand ko janne aur saste maal ka supply ke liye bhi apko social site par activate rahne ki jarurat hai.isse aap unki demand ko samjh sakte hai.aur us hisaab apne shop ko upgrade kr sakte hai.
5.Detail Record Rakhe:-
Ek successful businessman apne kaam ka record rakhta hai.record rakhne ke do fayede hai
1st, aapko apne business ke financial record ke bare me puri jaankari rahegi.Isse aap aap apne business ke risk factor ke bare me plan kar sakte hai.
2nd, Record ki help se aap business me aane wali problems ki pahchan kar usse bachne ka tarika dhundh sakte hai.
6.Apne Kaam Par Hamesha Dhayan De:-
Ek purani kahawat hai—Rom was not built in a day( Ek din me Rom nhi bana tha). Koi bhi business ek din me uchayi par nhi pahuchta hai.dhire-dhire aage badhta hai.isliye apne business se turant profit kamane ka man nhi banaye,turant profit kamane ke chakar me aap kch galat kar denge.
7.Mehnat se jee nhi churaye:-
Kisi bhi business ko suru karne ke liye aur usko aage badhne ke liye bahut mehnat lagta hai.isliye agar aap sahi mayne me apne business me success hona chahta tb aapko jee nhi churana chahiye,agar aap mehnat se bagenge tb iska sidha nukshaan apke business ko hoga,
8.Compitition Ko Aache Se Parkhe:-
Competition ka parinaam hamesha aacha hota hai.isliye ek safal businessman wahi ho sakta hai jo kabhi bhi partiyogyata se nhi dare,partiyogyta ka fayada customer ko milta hai.lekin business bhi isse profitable ho jata hai.
Ek safal businessman do baton par hamesha dhayan deta hai.
1st,uska grahak kabhi nirash na ho.
2nd, kam lagat me jyda profit kaise kamaye
AGAR KOI BUSINESSMAN ISS POST SE KUCH SIKH KE AAGE BADHTA HAI.TO MUJHE BAHUT KHUSHI HOGI.
No comments